Saturday, May 13, 2023

Jawab Ne Hi Sawal Puch Liya

kyu mai khamosh hu,

ye usne puch liya


halki si muskan ke piche,

hai kuch chupa,

ye usne samaj liya


waqt, ummed, ehsas, sparsh,

khulke yu nyochawar kiya,


bandhe hue khwahiso ki, 

bediyo ko bhi khola,


shararti un ankhone,

muskurahat ko jamke luta,


khyalo mai mujhe fir esa uljhaya,

khud ko hi mene tab bhulaya,


uljhan samaj ne ki samaj,

aati bhi kaise,

kyuki,

jawab ne hi to sawal puch liya.